dil-e-be-muddaa hai aur main hun
magar lab par dua hai aur main hun
na saqi hai na ab wo shai hai baqi
mera daur aa gaya hai aur main hun
udhar duniya hai aur duniya ke bande
idhar mera KHuda hai aur main hun
koi pursan nahin pir-e-mughan ka
faqat meri wafa hai aur main hun
abhi miad baqi hai sitam ki
mohabbat ki saza hai aur main hun
na puchho haal mera kuchh na puchho
ki taslim o raza hai aur main hun
ye tul-e-umr na-maqul o be-kaif
buzurgon ki dua hai aur main hun
lahu ke ghunT pina aur jina
musalsal ek maza hai aur main hun
'hafiz' aisi falakat ke dinon mein
faqat shukr-e-KHuda hai aur main hun
Ghazal
Dil-e-be-muddaa hai aur main hun
Hafeez Jalandhari