اردو हिंदी
Dil-e-barham ki KHatir muddaa kuchh bhi nahin hota | Shaahi Shayari
dil-e-barham ki KHatir muddaa kuchh bhi nahin hota

Ghazal

Dil-e-barham ki KHatir muddaa kuchh bhi nahin hota

Manish Shukla

;

dil-e-barham ki KHatir muddaa kuchh bhi nahin hota
ajab haalat hai ab shikwa gila kuchh bhi nahin hota

koi surat ubharti hai na main mismar hota hun
main wo patthar ki jis ka faisla kuchh bhi nahin hota

kisi ko sath le lena kisi ke sath ho lena
faqiron ke liye achchha bura kuchh bhi nahin hota

kabhi chalna mere aage kabhi rahna mere pichhe
rah-e-ulfat mein chhoTa ya baDa kuchh bhi nahin hota

kabhi dil mein mere tere siwa har baat hoti hai
kabhi dil mein mere tere siwa kuchh bhi nahin hota

wahi TuTi hui kashti wahi pagal hawaen hain
hamare sath duniya mein naya kuchh bhi nahin hota

ye sauda hai nigahon ka tijarat dil ki hai lekin
mohabbat mein KHasara faeda kuchh bhi nahin hota

kabhi do chaar qadmon ka safar tai ho nahin pata
kabhi milon se lamba fasla kuchh bhi nahin hota

faqat kirdar ka mara hua hai har bashar warna
koi insan achchha ya bura kuchh bhi nahin hota

falak par hi sitaron ka koi unwan hota hai
kisi TuTe sitare ka pata kuchh bhi nahin hota

bhale KHwahish karun teri kisi bhi shakl mein lekin
mera maqsad parastish ke siwa kuchh bhi nahin hota

agar dekhun to KHami hi dikhai de har ek shai mein
agar sochun to KHud se bad-numa kuchh bhi nahin hota

ba-zahir umr-bhar yun to hazaron kaam karte hain
haqiqat mein magar hum ne kiya kuchh bhi nahin hota