dil-e-barbaad ko chhoTa sa makan bhi dega
jab naya zaKHm bharega to nishan bhi dega
pahle guzrunga main ummid o yaqin ki rah se
phir tera pyar mujhe wahm-o-guman bhi dega
paikar-e-rang jo pal bhar mein bikhar jaega
jagti aankhon ko KHwabon ka jahan bhi dega
tum jalana mujhe chaho to jala do lekin
naKHl-e-taza jo jalega to dhuan bhi dega
waqt deta hai jinhen aaj khilaune 'aKHtar'
unhin atfal ko kal tir-o-sinan bhi dega
Ghazal
Dil-e-barbaad ko chhoTa sa makan bhi dega
Ehtisham Akhtar