اردو हिंदी
Dil-e-afsurda kyun kumhla raha hai | Shaahi Shayari
dil-e-afsurda kyun kumhla raha hai

Ghazal

Dil-e-afsurda kyun kumhla raha hai

Jameela Khatoon Tasneem

;

dil-e-afsurda kyun kumhla raha hai
Thahar ja koi shayad aa raha hai

tere pahlu mein ye hum ko mila hai
hamara dard baDhta ja raha hai

na monis hai na hamdam hai na sathi
dil-e-nadan kahan Takra raha hai

hum ab Thukra chuke hain donon aalam
hamein tu kis liye Thukra raha hai

yahan tarik hai sara zamana
meri nazron se kyun katra raha hai

mere ashkon se taron mein hai halchal
suhani shab hai koi ja raha hai

KHuda jaane wo aaen ya na aaen
bahut 'tasnim' dil ghabra raha hai