اردو हिंदी
Dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki | Shaahi Shayari
dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

Ghazal

Dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki

Josh Malihabadi

;

dil-e-azada-rau mein wo tamanna thi bayaban ki
qadam rakhte hi shaq hone lagi diwar zindan ki

KHuda ki rahmaten ai mutrib-e-rangin-nawa tujh par
ki har kanTe mein tu ne ruh dauDa di gulistan ki

ye sabit kar diya tujh ko bana kar dast-e-qudrat ne
ki ho sakti hain itni KHubiyan surat mein insan ki

nasim-e-subh ThanDi sans bharti hai mazaron par
udasi munh-andhere dekhiye gor-e-ghariban ki

ye aalam kya hai ek majmua hai nachiz zarron ka
ye duniya kya hai ek tarkib ajza-e-pareshan ki

hawaon ke wo jhonke wo khule maidan ki sardi
wo lahren chand se ruKHsar par zulf-e-pareshan ki

hamari zindagi kya silsila ek dil dhaDakne ka
hamari maut kya jumbish hai ek jazbaat-e-pinhan ki

bana dengi yaqin hai 'josh' mard-e-ba-KHuda ek din
tapish-andoziyan sine mein barq-e-soz-e-pinhan ki