اردو हिंदी
Dil-e-ashufta pe ilzam kai yaad aae | Shaahi Shayari
dil-e-ashufta pe ilzam kai yaad aae

Ghazal

Dil-e-ashufta pe ilzam kai yaad aae

Jameeluddin Aali

;

dil-e-ashufta pe ilzam kai yaad aae
jab tera zikr chhiDa nam kai yaad aae

tujh se chhuT kar bhi guzarni thi so guzri lekin
lamha lamha sahar o sham kai yaad aae

hae nau-umr adibon ka ye andaz-e-bayan
apne maktub tere nam kai yaad aae

aaj tak mil na saka apni tabahi ka suragh
yun tere nama o paigham kai yaad aae

kuchh na tha yaad ba-juz-kar-e-mohabbat ek umr
wo jo bigDa hai to ab kaam kai yaad aae

KHud jo lab-tishna the jab tak to koi yaad na tha
pyas bujhte hi tahi-jam kai yaad aae