اردو हिंदी
Dil Dub na jaen pyason ke taklif zara farma dena | Shaahi Shayari
dil Dub na jaen pyason ke taklif zara farma dena

Ghazal

Dil Dub na jaen pyason ke taklif zara farma dena

Abdul Hamid Adam

;

dil Dub na jaen pyason ke taklif zara farma dena
ai dost kisi mai-KHane se kuchh zist ka pani la dena

tufan-e-hawadis se pyare kyun itna pareshan hota hai
aasar agar achchhe na hue ek saghar-e-mai chhalka dena

zulmat ke jhurmuT waise to bijli ki chamak se Darte hain
par baat agar kuchh baDh jae taron se subu Takra dena

hum hashr mein aate to un ki tashhir ka bais ho jate
tashhir se bachne walon ko ye baat zara samjha dena

main pairahan-e-hasti mein bahut uryan sa dikhai deta hun
ai maut meri uryani ko malbus-e-'adam' pahna dena