dil dukha tha mera aisa ki dikhaya na gaya
dard itna tha ki KHud un se baDhaya na gaya
be-KHud-e-ishq se phir hosh mein aaya na gaya
sar jo sajde mein jhukaya to uThaya na gaya
raaz us parda-nashin ka kabhi paya na gaya
mahram-e-raaz se bhi raaz bataya na gaya
aafrin lazzat-e-nazzara KHusha aalim-e-kaif
dil ka aana tha ki phir hosh mein aaya na gaya
lab pe apne na kabhi harf-e-tamanna aaya
raaz dil ka magar aankhon se chhupaya na gaya
ishq se dil ne kisi tarah na fursat pai
ye wo shola hai ki dahka to bujhaya na gaya
jalwa yun aam kiya us ne ki sab ne dekha
parda yun us ne giraya ki uThaya na gaya
Ghazal
Dil dukha tha mera aisa ki dikhaya na gaya
Syed Bashir Husain Bashir