dil dukh na jae baat koi be-sabab na puchh
KHana-ba-dosh logon se nam-o-nasab na puchh
had aasman ki puchh zamin ka adab na puchh
kin manzilon mein hai meri parwaz ab na puchh
nan-e-jawin ki aas bhi kiya shai hai ab na puchh
pardesiyon se mashghala-e-roz-o-shab na puchh
be-ghar hue hain dida-e-be-KHwab ke qatil
ab jugnuon se lazzat-e-rudad-e-shab na puchh
tere liye hun aaina-e-pash-pash mein
kya kya hai mere waste ek teri chhab na puchh
pyase hain jaise ek samundar mein rah ke hum
tere baghair zindagi karne ka Dhab na puchh
mere lahu tarang se Thera hai surKH-ru
kya kya na rang hain teri aankhon ke ab na puchh
ek shoala-e-sharab bhi hain aaftab bhi
is zamharir mein tere shadab lab na puchh
hum KHud-shanas bhi hain zamana-shanas bhi
is marhale mein jaan se guzre hain kab na puchh

Ghazal
Dil dukh na jae baat koi be-sabab na puchh
Rauf Khair