اردو हिंदी
Dil diya hai humne bhi wo mah-e-kaamil dekh kar | Shaahi Shayari
dil diya hai humne bhi wo mah-e-kaamil dekh kar

Ghazal

Dil diya hai humne bhi wo mah-e-kaamil dekh kar

Sher Singh Naaz Dehlvi

;

dil diya hai hum ne bhi wo mah-e-kaamil dekh kar
zard ho jati hai jis ko sham-e-mahfil dekh kar

tere aariz pe ye nuqta bhi hai kitna intiKHab
ho gaya raushan tere ruKHsar ka til dekh kar

qatl karna be-gunahon ka koi aasan hai
KHushk qatil ka lahu hai KHun-e-bismil dekh kar

balliyon fart-e-masarrat se uchhal jata hai dil
bahr-e-gham mein dur se daman-e-sahil dekh kar

aaine ne kar diya yaktai ka dawa ghalat
naqsh-e-hairat ban gae apna muqabil dekh kar

dekh to len dil mein tere ghar bhi kar sakte hain hum
dil to hum denge tujhe lekin tera dil dekh kar

dekhiye rah-e-adam mein aur pesh aata hai kya
hosh parran ho rahe hain pahli manzil dekh kar

aarzu-e-hur kya ho 'naz' dil de kar unhen
shama par kya aankh Dalen mah-e-kaamil dekh kar