dil DhunDhti hai nigah kisi ki
aaine ki hai na aarsi ki
malik mere main ne mai-kashi ki
lekin ye KHata kabhi kabhi ki
kya shakl hai wasl mein kisi ki
taswir hain apni bebasi ki
khul jae saba ki pak-bazi
bu phuTe jo bagh mein kali ki
kam-baKHt kabhi na KHush hua tu
ai gham teri har tarah KHushi ki
munh hum ne hansi hansi mein chuma
jo ho gai baat thi hansi ki
tana sa tana hai mai-kade mein
pagDi uchhli hai shaiKH-ji ki
hum ko jo diya to aur ka dil
dil le ke ye achchhi dil-lagi ki
yun bhi to chala na kaam apna
dushman se bhi hum ne dosti ki
pae gae jis mein dil ke ajza
hogi wo KHak usi gali ki
aisi hai ki pi sakega waiz
hai taza kashid aaj hi ki
mai KHuld mein hogi surat-e-hur
maiKHane mein mushkil hai pari ki
ghar hai na kahin nishan lahad ka
miTTi hai KHarab be-kasi ki
sach ye hai ki zindagi ho ya maut
har chiz buri hai muflisi ki
achchhi hai gark se talKH mai se
milti rahe rose rukhi-phiki
kuchh kuchh hai 'riyaz' 'mir' ka rang
kuchh shan hai hum mein 'mushafi' ki
Ghazal
Dil DhunDhti hai nigah kisi ki
Riyaz Khairabadi