dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
wo teri yaad thi ab yaad aaya
aaj mushkil tha sambhalna ai dost
tu musibat mein ajab yaad aaya
din guzara tha baDi mushkil se
phir tera wada-e-shab yaad aaya
tera bhula hua paiman-e-wafa
mar rahenge agar ab yaad aaya
phir kai log nazar se guzre
phir koi shahr-e-tarab yaad aaya
haal-e-dil hum bhi sunate lekin
jab wo ruKHsat hua tab yaad aaya
baiTh kar saya-e-gul mein 'nasir'
hum bahut roe wo jab yaad aaya
Ghazal
Dil dhaDakne ka sabab yaad aaya
Nasir Kazmi