dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain
chhoDe hue tiron ka asar dekh rahe hain
har rose jafaen hain nai aur naya gham
sau sau tarah aashiq ka jigar dekh rahe hain
har lamha zamane ka hai hangama-ba-daman
paida hai qayamat ka asar dekh rahe hain
ai gardish-e-dauran tere jaan-soz nazare
dekhe nahin jate hain magar dekh rahe hain
hum mai-kade mein ja ke hue tishna ziyaada
badli hui saqi ki nazar dekh rahe hain
aashob ka ai 'taj' hai ye haal ki har rose
milte hue miTTi mein guhar dekh rahe hain
Ghazal
Dil dekh rahe hain wo jigar dekh rahe hain
Zahiir Ahmad Taaj