dil de raha tha jo use be-dil bana diya
aasan kaam aap ne mushkil bana diya
har sans ek shoala hai har shoala ek barq
kya tu ne mujh ko ai tapish-e-dil bana diya
is husn-e-zan pe ham-safaron ke hun pa-ba-gil
mujh be-KHabar ko rahbar-e-manzil bana diya
andha hai shauq phir nazar imkan par ho kyun
kaam apna dil ne aap hi mushkil bana diya
dauDa lahu ragon mein bandhi zindagi ki aas
ye bhi bura nahin hai jo bismil bana diya
gharq o ubur donon ka hasil hai KHatm-e-kar
majburiyon ne mauj ko sahil bana diya
us shan-e-ajizi ke fida jis ne 'arzu'
har naz har ghurur ke qabil bana diya
Ghazal
Dil de raha tha jo use be-dil bana diya
Arzoo Lakhnavi