اردو हिंदी
Dil-dadgan-e-lazzat-e-ijad kya karen | Shaahi Shayari
dil-dadgan-e-lazzat-e-ijad kya karen

Ghazal

Dil-dadgan-e-lazzat-e-ijad kya karen

Aal-e-Ahmad Suroor

;

dil-dadgan-e-lazzat-e-ijad kya karen
sailab-e-ashk-o-ah pe buniyaad kya karen

karna hai ban ko taza nihaalon ki dekh bhaal
biti hui bahaar ko wo yaad kya karen

han jaan kar umid ki maddham rakhi hai lau
ab aur pas-e-KHatir-e-nashad kya karen

sangin haqiqaton se kahan tak malul hon
ranai-e-KHayal ko barbaad kya karen

dekho jise liye hai wo zaKHmon ki kaenat
hum ek apne zaKHm pe fariyaad kya karen

rindon ki aarzu ka talatum kahan se laen
aasudgan-e-masnad-e-irshad kya karen

kis ko nahin sukun ki KHwahish jahan mein
uftadgan-e-rahguzar-e-baad kya karen

jo har nazar mein taza karen mai-kade hazar
sach hai 'surur'-e-rafta ko wo yaad kya karen