اردو हिंदी
Dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya | Shaahi Shayari
dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya

Ghazal

Dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya

Bekhud Dehlvi

;

dil chura le gai duzdida-nazar dekh liya
hum na kahte the ki us chor ne ghar dekh liya

banda-parwar gham-e-furqat ka asar dekh liya
dagh-e-dil dekh liya dagh-e-jigar dekh liya

qad bhi kam umr bhi kam mashq-e-sitam aur bhi kam
kar chuke qatl mujhe jaiye ghar dekh liya

shikwe ke sath lagawaT bhi chali jati hai
jab kiya kuchh to kanakhiyon se idhar dekh liya

dad-KHwahon pe nai hashr mein aafat aai
saf ki saf loT gai us ne jidhar dekh liya

qatl-e-ushshaq pe lo aur uThao KHanjar
jhuk gai bar-e-nazakat se kamar dekh liya

na chhuTa tum se ye mai-KHane ka rasta 'beKHud'
munh chhupae hue jate ho kidhar dekh liya