dil chhoD ke har rahguzar DhunDh raha hun
baiThe hain kahan wo main kidhar DhunDh raha hun
wo pesh-e-nazar hain to nazar kyun nahin aate
kya mera qusur is mein agar DhunDh raha hun
barik-nigari ki tamanna to hai lekin
milta nahin mazmun-e-kamar DhunDh raha hun
phukunga nasheman ki tarah apne use bhi
is waste sayyaad ka ghar DhunDh raha hun
kahte hain jise urf mein sab subh-e-bahaaran
us sham-e-judai ki sahar DhunDh raha hun
jamta hi nahin nok-e-mizha par koi aansu
kanTe pe tule jo wo guhar DhunDh raha hun
ye jaan ke us but ka hai patthar ka kaleja
ai 'barq' main lohe ka jigar DhunDh raha hun

Ghazal
Dil chhoD ke har rahguzar DhunDh raha hun
Rahmat Ilahi Barq Aazmi