dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin
ab zikr-e-baada-o-lab-o-ruKHsar bhi nahin
apna tha KHalwaton mein kabhi partaw-e-jamal
qismat mein ab to saya-e-diwar bhi nahin
shikwa zaban pe phul se ahbab ka ghalat
ai dost mujh ko to gila-e-KHar bhi nahin
aaya na ras aap ko ai shaiKH roz-e-hashr
aur lutf ye hai aap gunahgar bhi nahin
qaem hun apni tauba pe main aaj bhi magar
koi hasin pilae to inkar bhi nahin
kya kijiye numaish-e-gham KHun-e-dil ke baad
ab aarzu-e-dida-e-KHunbar bhi nahin
elan-e-be-KHudi hai har ek qatra-e-lahu
mere junun ki had rasan-o-dar bhi nahin
nur-e-sahar ke nam pe bhaTken na qafile
dar-asl abhi to subh ke aasar bhi nahin
waiz KHayal-e-tauba baja hai magar abhi
main to ba-qadr-e-zarf gunahgar bhi nahin
Ghazal
Dil bujh gaya to garmi-e-bazar bhi nahin
Ejaz Warsi