dil bhi dagh-e-naqsh-e-kuhan se bujha hua tha
chand ke gird bhi ek haala sa bana hua tha
us ko ek ghazal pahunchani thi jaldi mein
lekin raste mein sannaTa khaDa hua tha
shoala chum ke rakkhe us ne sans diye mein
main ne jhuk kar dekha kajal baha hua tha
chhat se chehre par girte hi rahe sitare
aasman ka KHema thoDa phaTa hua tha
basti se nikle hain kuchh miTTi ke khilaune
insanon ka nam-o-nishan tak miTa hua tha
hath bandh kar mere sare adu khaDe the
lekin main apni taKHrib pe tula hua tha
mushk bhari hai main ne donon hathon kaTa kar
sochon ke pani par pahra laga hua tha
us ki aankhen bhi kuchh roi roi si thin
aur main bhi us sham bahut hi thaka hua tha
bhig raha tha sabza os ke moti pahne
sukha baadal kunen ke andar gira hua tha
bachcha ek pahiye ko le kar bhag raha tha
waqt jhuki diwar ke upar baha hua tha
shah-rahon par ukhDe ukhDe sans paDe the
dariya bhaari shahr ke niche daba hua tha
sine se sanson ka rishta TuT chuka tha
qaidi ke pairon ka tala khula hua tha

Ghazal
Dil bhi dagh-e-naqsh-e-kuhan se bujha hua tha
Shahnawaz Zaidi