dil bhi aawara nazar aawara
kaT gaya sara safar aawara
zindagi bhaTka hua jangal hai
rah bechain shajar aawara
ruh ki khiDki se hum jhankte hain
aur lagta hai nagar aawara
tujh ko malum kahan hoga ki shab
kaise karte hain basar aawara
mujh ko malum hai apne bare
hun bahut achchha magar aawara
ye alag baat ki bas pal-do-pal
lauT ke aate hain ghar aawara
Ghazal
Dil bhi aawara nazar aawara
Farhat Abbas Shah