اردو हिंदी
Dil bhi aapko bhul chuka hai | Shaahi Shayari
dil bhi aapko bhul chuka hai

Ghazal

Dil bhi aapko bhul chuka hai

Aftab Hussain

;

dil bhi aap ko bhul chuka hai
sahab aap se parda kya hai

kahne sunne ki baaten hain
kaun kise apna sakta hai

ishq mein kya sachcha kya jhuTa
ye to umron ka rona hai

haal hamara puchhne wale
kya batlaen sab achchha hai

kya kya baat na ban sakti thi
lekin ab kya ho sakta hai

ab bhi dil ke darwaze par
ek diya jalta rahta hai

kab tak sath nibhata aaKHir
wo bhi duniya mein rahta hai

duniya par kyun dosh dharen hum
apna dil bhi kab apna hai