dil bhar aae to samundar nahin dekhe jate
aks pani mein utar kar nahin dekhe jate
dekh ai sust-rawi hum se kinara kar le
har qadam rah ke patthar nahin dekhe jate
wo chahak ho ki mahak ek hi ruKH uDti hai
bar-sar-e-dosh-e-hawa par nahin dekhe jate
dekh ai sada-dil o sada-ruKH o sada-jamal
har jagah ye zar-o-zewar nahin dekhe jate
apne hathon mein lakiron ke siwa kuchh bhi nahin
dard-mandon ke muqaddar nahin dekhe jate
sar-girafton ke liye ghar bhi qafas hain 'KHalid'
himmat ai KHira-saro sar nahin dekhe jate
Ghazal
Dil bhar aae to samundar nahin dekhe jate
Khalid Ahmad