dil bhar aae aur abr-e-dida mein pani na ho
ye zamin sahra dikhai de jo barani na ho
shauq itna sahal kyun us par le jae mujhe
phir palaT aaun agar dariya mein tughyani na ho
kan bajte hain hawa ki siTiyon par raat-bhar
chaunk uThta hun ki aahaT jaani-pahchani na ho
ho gae be-KHud to Tison ka maza chhin jaega
rokta hun dard ki itni farawani na ho
tere hone se mere dil mein hai yaadon ki chamak
chand bujh jae agar suraj mein tabani na ho
Dhanp le miTTi se tan apna agar maqdur ho
pairahan kaisa agar ehsas-e-uryani na ho
ji raha hun main ki auron se bhi hai wabastagi
maut aa jae agar koi pareshani na ho
Dal de 'shahid' shafaq par raat ki kali rida
mere darwaze se zahir ghar ki virani na ho

Ghazal
Dil bhar aae aur abr-e-dida mein pani na ho
Saleem Shahid