اردو हिंदी
Dil betab-e-marg-e-na-gahan baqi na rah jae | Shaahi Shayari
dil betab-e-marg-e-na-gahan baqi na rah jae

Ghazal

Dil betab-e-marg-e-na-gahan baqi na rah jae

Mushir Jhanjhanvi

;

dil betab-e-marg-e-na-gahan baqi na rah jae
mohabbat ka ye nazuk imtihan baqi na rah jae

sambhal kar phunk ai barq-e-tapan mere nasheman ko
kahin ujlat mein shaKH-e-ashiyan baqi na rah jae

madad ai josh-e-girya KHun-e-dil shamil hai ashkon mein
koi is silsila ki dastan baqi na rah jae

mohabbat ki haden is aalam-e-imkan se baala hain
kisi ki justuju mein la-makan baqi na rah jae

teri shan-e-karam par koi harf aae maaz-allah
koi mai-KHwar ai pir-e-mughan baqi na rah jae

musafir ishq ki manzil sarapa raaz hoti hai
kahin chehre pe gard-e-karwan baqi na rah jae

nasheman se qafas tak silsila ho barq-e-larzan ka
ye tarz-e-jaur bhi ai aasman baqi na rah jae

tumhaare samne aansu bhi tham tham kar nikalte hain
main Darta hun kahin ye dastan baqi na rah jae

'mushir' ab har nazar mein ek lutf-e-KHas pata hun
koi ishwa nasib-e-dushmanan baqi na rah jae