dil bata aur kya hai hone ko
choT khai hai main ne rone ko
be-nawa KHwab muntazir hain mere
raat baqi kahan hai sone ko
sozan-e-shauq ko shab-e-hijran
sirf aansu mile pirone ko
apni KHushiyon mein dusron ke gham
hausla chahiye samone ko
nahin malum intizam hai kya
daman-e-zist ke bhigone ko
nikhaton ke dayar mein mujh ko
aatishin gul mile pirone ko
roz ummid jag jati hai
gum-shuda aarzu ke khone ko
kuchh to ahbab kaam aaenge
kashti-e-shauq ke Dubone ko
fikr us ko ho jis ke pas ho kuchh
kuchh nahin mere pas khone ko
main hun tanhai ka samundar hai
gham khaDe hain mujhe Dubone ko
aagahi sirf kaam aai 'raza'
mere dagh-e-junun ke dhone ko

Ghazal
Dil bata aur kya hai hone ko
Raza Amrohvi