dil-baran ka apas kun das na kar
das hota to dil udas na kar
gar alak par hai lak to chak sun jhaTak
chak ki ummid alak ki aas na kar
laT kun laT-paT ho ruKH pe rij niku
sut kanti ko phir kapas na kar
bul-hawas bulbulan naman har ban
dekh apas dukh ki iltimas na kar
yani yak Thaar yak yaqin su uchh
baj yak dusra qayas na kar
gar jo dil jal dhunwan asas mein nin
tu kubudi abas libas na kar
toD apas ka hijab ai 'bahri'
mulk mein man ke us mawas na kar
Ghazal
Dil-baran ka apas kun das na kar
Qazi Mahmud Behri