dil bahut tang raha karta hai
rang be-rang raha karta hai
husn mein tere koi aib nahin
qubah mein dang raha karta hai
sulh ki dil se hain yan maslihaten
wan sar-e-jang raha karta hai
mohtasib ko tere mastanon se
KHauf-e-sarchang raha karta hai
dil mera pi ke mohabbat ki sharab
nashsha mein bhang raha karta hai
farsi aar hai mujh majnun ko
nang se nang raha karta hai
jauhar-e-tegh dikhata hai husn
ishq chaurang raha karta hai
guftani haal nahin hai apna
kuchh ajab Dhang raha karta hai
halab-e-ruKH mein tere KHalon se
lashkar-e-zang raha karta hai
manzil-e-gor ke diwanon ke
sina par sang raha karta hai
aalam-e-wajd tere maston ko
be-daf-o-chang raha karta hai
KHunduq-e-dast-e-sanam se nadim
gul-e-aurang raha karta hai
tere gosh-e-shunawa ka mushtaq
har KHush-ahang raha karta hai
bandish-e-chust se teri 'atish'
qafiya tang raha karta hai
Ghazal
Dil bahut tang raha karta hai
Haidar Ali Aatish