dil bahalne ke wasile de gaya wo
apni yaadon ke khilaune de gaya wo
ham-suKHan tanhaiyon mein koi to ho
sune sune se dariche de gaya wo
le gaya meri KHudi meri ana bhi
ai jabin-e-shauq sajde de gaya wo
ranj-o-gham sahne ki aadat ho gai hai
zinda rahne ke saliqe de gaya wo
meri himmat jaanta tha is liye bhi
Dubne wale safine de gaya wo
zindagi bhar joDte rahna hai in ko
TuTi zanjiron se rishte de gaya wo
zar-fishan har lafz zarrin har waraq hai
'aKHtar' aise kuchh sahife de gaya wo
Ghazal
Dil bahalne ke wasile de gaya wo
Akhtar Shahjahanpuri