اردو हिंदी
Dil badan ka sharik-e-haal kahan | Shaahi Shayari
dil badan ka sharik-e-haal kahan

Ghazal

Dil badan ka sharik-e-haal kahan

Ahmad Faraz

;

dil badan ka sharik-e-haal kahan
hijr phir hijr hai visal kahan

ishq hai nam intihaon ka
is samundar mein e'tidal kahan

aisa nashsha to zahr mein bhi na tha
ai gham-e-dil teri misal kahan

hum ko bhi apni paemali ka
hai magar is qadar malal kahan

main nai dosti ke moD pe tha
aa gaya hai tera KHayal kahan

dil ki KHush-fahm tha so hai warna
tere milne ka ehtimal kahan

wasl o hijran hain aur duniyaen
in zamanon mein mah-o-sal kahan

tujh ko dekha to log hairan hain
aa gaya shahr mein ghazal kahan

tujh pe likkhi to saj gai hai ghazal
aa mila KHwab se KHayal kahan

ab to shah mat ho rahi hai 'faraaz'
ab bachaw ki koi chaal kahan