dil bache kyunkar buton ki chashm-e-shoKH-o-shang se
apna ghar to sujhta hai saikDon farsang se
ek bhi nikle na meri si fughan-e-dil-KHarash
garche KHun Tapke gulu-e-murgh-e-KHush-ahang se
chhup ke baiThega kahan tu hum se ai rangin-nawa
hoga tu jis rang mein mil jaenge us rang se
bal be-bariki ki goya har tera tar-e-suKHan
jantari mein khinch ke nikla hai dahan-e-tang se
ai taghaful-kesh jaldi aa ki tu waqif nahin
is dil-e-betab o jaan-e-muztarib ke Dhang se
josh-e-girya se rahi barsat barson par kabhi
us ki tegh-e-tez aaluda na dekhi zang se
mere girye ke asar se ho gae patthar bhi aab
jhaDte hain ja-e-sharar pani ke qatre sang se
pahle ye niyat wazu ki hai namaz-e-ishq mein
dil se kah dije ki dhowe hath nam o nang se
'zauq' zeba hai jo ho rish-e-safed-e-shaiKH par
wasma aab-e-bang se mehndi mai-e-gul-rang se
Ghazal
Dil bache kyunkar buton ki chashm-e-shoKH-o-shang se
Sheikh Ibrahim Zauq