اردو हिंदी
Dil azal se markaz-e-alam hai | Shaahi Shayari
dil azal se markaz-e-alam hai

Ghazal

Dil azal se markaz-e-alam hai

Wamiq Jaunpuri

;

dil azal se markaz-e-alam hai
shisha-e-aghaz mein anjam hai

chashm-e-saqi ka ye sara kaam hai
nashsha-e-mai muft mein badnam hai

baada-e-ahmar se KHali jam hai
dil to hai lekin bara-e-nam hai

wajh-e-taskin dil ki dhaDkan ban gai
ab hawa chalti hai kuchh aaram hai

marhaba ai kasa-e-charKH-e-kuhan
gardishen jab tak hain tera nam hai

teri qismat hi mein zahid mai nahin
shukr to majburiyon ka nam hai