dil apne ranj-o-gham se jam-e-jahan-numa tha
ab aap hi bataen achchha tha ya bura tha
sahra tha ya chaman tha jaane wahi ki kya tha
is dil ki intiha hai jo muddaton jala tha
taDpun tu raaz kholun sanblun to ishq na-KHush
jis haal ko main samjha achchha wahi bura tha
puchha na zindagi mein yun to kisi ne aa kar
marne ke baad jo tha wo mujh ko puchhta tha
shab ko meri sadaen mujh tak palaT ke aain
nalon ki kya KHata thi jab band rasta tha
manzil pe jab gira tha thak kar to main ne dekha
qissa mera zaban-e-alam pe chal raha tha
jaan-e-hazin nikalti sham-e-firaq kyun kar
wo raat thi andheri rasta na sujhta tha
meri taraf chale tum jab jaankani mein tha main
duniya hai ek aata tha ek ja raha tha
ek tarah ki musibat hoti to jhel lete
har shab nai zamin thi har din falak naya tha
afsos hai ki umr-e-fani ne KHatm ho kar
mujh ko wahi bataya jis ko main jaanta tha
DhunDengi baad mere mujh ko charagh le kar
wo mahfilen ki jin mein 'saqib' ghazal-sara tha
Ghazal
Dil apne ranj-o-gham se jam-e-jahan-numa tha
Saqib Lakhnavi