اردو हिंदी
Dil apna yaad-e-yar se begana to nahin | Shaahi Shayari
dil apna yaad-e-yar se begana to nahin

Ghazal

Dil apna yaad-e-yar se begana to nahin

Abdul Malik Soz

;

dil apna yaad-e-yar se begana to nahin
goya ki KHali mai se ye paimana to nahin

manta hai meri baat to nazren mila ke sun
ye mera haal-e-zar hai afsana to nahin

hanste ho mil ke duniya se kya mere haal par
main aap ka diwana hun diwana to nahin

ai shama tujh ko jalna hai ab us ki aag mein
ek shoala tujh se lipTa hai parwana to nahin

danista mujh se jata hai ghairon ke samne
warna wo mere haal se begana to nahin

ai barq tujh ko dhoka hua mujh ko dekh kar
zalim qafas hai ye mera kashana to nahin

taskin-e-KHulq-e-saqi ko pita hun main sharab
meri nazar mein saqi hai paimana to nahin

pas-e-adab hai kya uThe aankh is ke ru-ba-ru
is mein sawal-e-jurat-e-rindana to nahin

jhukte hain us ko har jagah maujud pa ke 'soz'
dil mein hamare kaba-o-but-KHana to nahin