dil apna said-e-tamanna hai dekhiye kya ho
hawas ko ishq ka sauda hai dekhiye kya ho
kisi ke lamha-e-ulfat ki yaad-e-kaif-awar
dil-e-hazin ka sahaara hai dekhiye kya ho
bacha bacha ke rakha tha jise wahi kashti
supurd-e-mauja-e-dariya hai dekhiye kya ho
sukut-e-but-kada-e-azari se tang aa kar
KHuda ko main ne pukara hai dekhiye kya ho
shakeb-o-sabr ka paimana TuTne par bhi
wahi wafa ka taqaza hai dekhiye kya ho
hazar bar hi dekha hai sochne ka maal
hazar bar hi socha hai dekhiye kya ho
'ziya' jo pi ke na bahka wo rind-e-mai-KHana
piye baghair bahakta hai dekhiye kya ho
Ghazal
Dil apna said-e-tamanna hai dekhiye kya ho
Zia Fatehabadi