dil apna harif-e-saill-e-bala ab kya kahen kitna TuT gaya
aaj aur thapeDe Takrae aaj aur kinara TuT gaya
paikar hi jin ka shewa ho wo tund hawaen kya samjhen
gulzar to hum par tang hua bazu to hamara TuT gaya
miTTi se KHwab tarasha tha so us ki ye tabir mili
ab aadha gharaunda baqi hai aur aadha gharaunda TuT gaya
ghar bhi wahi ghar wale bhi wahi par kya lage is mahaul mein ji
diwar se rishta qaem hai sae se rishta TuT gaya
jis ke liye bachcha roya tha aur ponchhe the aansu baba ne
wo bachcha ab bhi zinda hai wo mahnga khilauna TuT gaya
kab dida-e-gul hua daman jo jab chhoD gai gul ko KHushbu
kab aaya shajar ko hosh-e-numu jab patta patta TuT gaya
Ghazal
Dil apna harif-e-saill-e-bala ab kya kahen kitna TuT gaya
Mahshar Badayuni