dil agar mail-e-itab na ho
dard ka dard phir jawab na ho
aisi karwaT bhi koi karwaT hai
jis ke pahlu mein inqalab na ho
kyun chamak uTTha aaj mai-KHana
tere saghar mein aaftab na ho
bahr-e-hasti mein na-KHuda-e-jahan
zindagi surat-e-habab na ho
dil se koshish kare agar insan
ghair-mumkin hai kaamyab na ho
kyun pareshan rahta hai 'ghawwas'
teri taqdir mahw-e-KHwab na ho
Ghazal
Dil agar mail-e-itab na ho
Gawwas Qureshi