اردو हिंदी
Dil abr hai aisa kabhi rota nahin | Shaahi Shayari
dil abr hai aisa kabhi rota nahin

Ghazal

Dil abr hai aisa kabhi rota nahin

Monika Singh

;

dil abr hai aisa kabhi rota nahin
phir bhi KHafa kyun aaina hota nahin

hum chhoD aae the tasalli ke liye
ye dard-e-dil kyun bhiD mein khota nahin

phir KHwab na TuTe wo pichhli raat sa
is KHauf mein aksar ye dil sota nahin

ab barishen bhi chahaton ki thak gai
dil ki zamin par ishq wo bota nahin