dil-azari mohabbat mein kahan malum hoti hai
ajab taskin pas-e-soz-e-nihan malum hoti hai
nigah-e-naz aksar dastan malum hoti hai
kisi ki aankh ham-wasf-e-zaban malum hoti hai
KHudaya KHair kya taza tabahi aane wali hai
KHamoshi se qarib-e-ashiyan malum hoti hai
chhupi jati hai manzil hi ghubar-e-rah-e-manzil mein
meri qismat sharik-e-karwan malum hoti hai
ye garm-e-guftugu sayyaad kis se hai zara sun lo
qafas walo sada-e-baghban malum hoti hai
meri baaten to wo shikwa samajh kar sun nahin sakte
KHamoshi bhi unhen meri garan malum hoti hai
fareb-e-shauq mein manzil jinhen aankhen samajhti thin
wahi ab aah-e-gard-e-karwan malum hoti hai
ghurur-e-husn se koshish matanat iKHtiyari ki
tumhaari shoKHiyon mein raegan malum hoti hai
zamane ki zaban par hai unhin ki dastan 'talib'
unhen har baat meri dastan malum hoti hai
Ghazal
Dil-azari mohabbat mein kahan malum hoti hai
Talib Baghpati