dil aaina hai jauhar-e-aks ru hai 
yun hi tujh se main hun yun hi mujh mein tu hai 
agar gul hai tu jaan-e-bulbul bhi tu hai 
tu har rang mein rang tu har bu mein bu hai 
meri KHak ashk-e-nadamat se tar hai 
tayammum bhi kariye to hukm-e-wuzu hai 
baja lan-tarani hai KHamosh hain hum 
jo uTh jae parda to phir guftugu hai 
teri zulf-e-purKHam ka diwana hun main 
na zanjir-e-pa hai na tauq-e-gulu hai 
tasawwur mein abru ke jo mar gaya hun 
pas-e-marg kaba mere ru-ba-ru hai 
gareban-e-sad-chaak hai daman-e-gul 
na paiwand ki ja na kar-e-rafu hai 
tere munh ko dekhun tere sath soun 
ye hi hasrat-e-dil ye hi aarzu hai 
main dauran-e-sar se jo sar phoDta hun 
na mai hai na saqi na jam-e-subu hai 
chhuri kya hai talwar bhi mar qatil 
qaba-e-badan ko bhi shauq-e-rafu hai 
nahata hai ghairon ke hamrah qatil 
mere aab-e-shamshir hi ta-gulu hai 
tere jalwe se hai dil-e-'arsh' raushan 
jo wo subh-e-sadiq to KHurshid tu hai
        Ghazal
Dil aaina hai jauhar-e-aks ru hai
Meer Kallu Arsh

