dil aaina hai magar ek nigah karne ko
ye ghar banaya hai us ne tabah karne ko
gul-e-visal abhi dekha na tha ki aa pahunchi
shab-e-firaq bhi aankhen siyah karne ko
galim o taKHt utare hain ghaib se us ne
mujhe faqir tujhe baadshah karne ko
saje hain dasht o bayaban ajab qarine se
tujhe sawar mujhe gard-e-rah karne ko
mili mujhe teri ham-saegi so duniya mein
tamiz-e-martaba-e-koh-o-kah karne ko
damida har shajar-e-gard-baad naKHl-e-junun
hamare chaak-e-gareban se rah karne ko
Dil-e-gudaKHta o chashm-e-tar hi kafi hai
futuh-e-mamlikat-e-mehr-o-mah karne ko
Ghazal
Dil aaina hai magar ek nigah karne ko
Ahmad Javed