اردو हिंदी
Dikhla na Khaal-e-naf tu ai gul-badan mujhe | Shaahi Shayari
dikhla na Khaal-e-naf tu ai gul-badan mujhe

Ghazal

Dikhla na Khaal-e-naf tu ai gul-badan mujhe

Sheikh Ibrahim Zauq

;

dikhla na KHal-e-naf tu ai gul-badan mujhe
har lala yan hai nafa-e-mushk-e-KHutan mujhe

hamdam wabaal-e-dosh na kar pairahan mujhe
kanTa sa hai khaTakta mera tan badan mujhe

phirta liye chaman mein hai diwana-pan mujhe
zanjir-e-pa hai mauj-e-nasim-e-chaman mujhe

tasbih-e-daur-e-bazm mein dekho imam ko
baKHshi hai haq ne zeb-e-sar-e-anjuman mujhe

ai mere yasman tere dandan-e-abdar
gulshan mein hain rulate gul-e-yasman mujhe

mehrab-e-kaba jab se hai tera KHam-e-kaman
said-e-haram samajhte hain nawak-fagan mujhe

hai tan mein risha-ha-e-nae KHushk ustuKHwan
kyun khinchta hai kanTon mein ai zof-e-tan mujhe

ai lab misi ko phenk ki nilam hai kam-baha
yaqut de ya de koi lal-e-yaman mujhe

hun shama ya ki shola KHabar kuchh nahin magar
fanus ho raha hai mera pairahan mujhe

ek sarzamin-e-lala bahaar o KHizan mein hun
yaksan hai dagh-e-taza o dagh-e-kuhan mujhe

KHusraw se tesha bola jo chaTun na tera KHun
shirin na howe KHun-e-sar-e-koh-kan mujhe

ruKH par tumhaare dam jo Dala hai sabze ne
aata nazar hai dida-e-anqa-dahan mujhe

ye dil wo hai ki kar de zamin aasman ko KHak
ek dam ko barq de jo pinha pairahan mujhe

kuche mein tere kaun tha leta bhala KHabar
shab chandni ne aa ke pahnaya kafan mujhe

dikhlata aasman se hai ru-e-zamin ki sair
ai rashk-e-mah teri jabin ka shikan mujhe

rakhta hai chashm-e-lutf pe kis kis ada ke sath
deta hai jam saqi-e-paiman-shikan mujhe

hai jazb-e-dil durust to chah-e-firaq se
khinchegi teri zulf shikan-dar-shikan mujhe

dikhlata ek ada mein hai sau sau tarah banao
is sada-pan ke sath tera bankpan mujhe

jaise kuen mein ho koi tara chamak raha
dil sujhta hai yun tah-e-chah-e-zaqan mujhe

aa kar use bhi do kabhi aankhen zara dikha
aankhen dikha raha hai ghazal-e-KHutan mujhe

aa ai mere chaman ki hua mein teri hawa
sahra-e-dil hua hai chaman-dar-chaman mujhe

ya rab ye dil hai ya ki hai aaina-e-nazar
dikhla raha hai sair o safar dar watan mujhe

aaya hun nur le ke main bazm-e-suKHan mein 'zauq'
aankhon pe sab biThaenge ahl-e-suKHan mujhe