dikhati hai jo ye duniya wo baiTha dekhta hun main
hai tuf mujh par tamasha-bin ho kar rah gaya hun main
bas itna rabt kafi hai mujhe ai bhulne wale
teri soi hui aankhon mein akasr jagta hun main
na kyun hogi meri bar-awri phir dekhne laeq
mohabbat ki mahakti KHak mein boya gaya hun main
meri aabaadiyon mein chaar-su bikhra hai sannaTa
hisar-e-KHauf se chaaron taraf bandha gaya hun main
rulati hain meri yaaden hamesha KHun ke aansu
kisi nadar pe guzra hua ek hadsa hun main
musalsal hi baDhai hain kisi ki dhaDkanen main ne
musalsal hi kisi ke zehn se socha gaya hun main
wirasat hun main ek Dhalti hui tahzib ki 'sarim'
kahin khoya gaya hun main kahin paya gaya hun main
Ghazal
Dikhati hai jo ye duniya wo baiTha dekhta hun main
Arshad Jamal u0027Sarimu0027