dikhate hain ada kuchh bhi to aafat aa hi jati hai
sambhal kar lakh chalte hain qayamat aa hi jati hai
mohabbat mein hain sabr-o-shukr ke har-chand hum qail
magar kuchh kuchh kabhi lab par shikayat aa hi jati hai
jo sach puchho to hain aashiq bhi pairaw nazninon ke
badan mein na-tawani se nazakat aa hi jati hai
majaz ek parda-e-idrak hai to chashm-e-bina ko
kisi surat nazar shakl-e-haqiqat aa hi jati hai
nahin jazb-e-dil-e-ashiq se hai mashuq ko chaara
agar bedard bhi ho to mohabbat aa hi jati hai
butan-e-sim-tan ke wasl se hum faiz pate hain
wo aate hain to apne ghar mein daulat aa hi jati hai
tere ashaar-e-rangin se bhala farhat na ho 'ahqar'
ki in phulon se KHushbu-e-fasahat aa hi jati hai
Ghazal
Dikhate hain ada kuchh bhi to aafat aa hi jati hai
Radhe Shiyam Rastogi Ahqar