اردو हिंदी
Dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe | Shaahi Shayari
dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe

Ghazal

Dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe

Ejaz Obaid

;

dikhata kya hai ye TuTi hui kaman mujhe
tera shikar hun achchhi tarah se jaan mujhe

hawa ne ret ki surat zamin pe likh di hai
dikhai deti hai patthar ki dastan mujhe

ek aasman ne zamin par gira diya lekin
zamin ne phir se bana Dala aasman mujhe

main is hawa ka nahin paniyon ka qaidi hun
na jaane kyun liye phirta hai baadban mujhe

zamin se sirf jazira dikhai deta hai
koi na jaan saka aaj tak chaTan mujhe

na jaane tir ki manind kaise chubhne laga
wo shaKHs lagta tha TuTi hui kaman mujhe