dikhai jaegi shahr-e-shab mein sahar ki tamsil chal ke dekhen
sar-e-salib istada hoga KHuda-e-injil chal ke dekhen
gulon ne band-e-qaba hai khola, hawa se bu-e-junun bhi aae
karenge is mausam-e-wafa mein hum apni takmil chal ke dekhen
ghanim-e-shab ke KHilaf ab ke ziyan hui ghaib ki gawahi
paDa hua KHak par shikasta par-e-ababil chal ke dekhen
chune hain wo reza reza manzar, lahu lahu ho gai hain aankhen
chalo na! us dukh ke raste par safar ki tafsil chal ke dekhen
faza mein uDta hua kahin se ajab nahin aks-e-barg aae
KHizan ke be-rang aasman se aTi hui jhil chal ke dekhen
luDhak gaya shab ka koh-paima zamin ki hamwariyon ki jaanib
kahin hawa gul na kar chuki ho ana ki qindil chal ke dekhen
Ghazal
Dikhai jaegi shahr-e-shab mein sahar ki tamsil chal ke dekhen
Aftab Iqbal Shamim