dikhai deti hai jo shakl wo bani hi na ho
ajab nahin ki kahani kahi gai hi na ho
jo kho chuka hai wahi ab ho mera sarmaya
jo mil gaya hai mujhe wo meri kami hi na ho
likha hi rah na gaya ho kahin mera qissa
guzar di hai jo wo meri zindagi hi na ho
hai kaun jis ki ho tahrir is qadar saffak
ye zindagi meri apni likhi hui hi na ho
dikhai deta bhi hai ek tilism aur agar
main jis mein dekh raha hun wo raushni hi na ho
wahan se KHwab koi aur le uDa ho use
meri nigah teri aankh mein ruki hi na ho
KHuda-e-dahr mera hi shuur hai 'kashif'
to kaenat ki sazish kahin meri hi na ho

Ghazal
Dikhai deti hai jo shakl wo bani hi na ho
Syed Kashif Raza