dikhai dengi sabhi mumkinat kaghaz par
zara utar to lun sab jihat kaghaz par
mari kahani bahut der se ruki hui hai
wo kho gaya hai kahin rakh ke hath kaghaz par
hamari taza ghazal mein bhi aks hai us ka
wo ek ashk jo Tapka tha raat kaghaz par
mein thak chuka hun faqat raeganiyan likhte
unDel dun na kahin ab dawat kaghaz par
kise KHabar ki ye raddi mein bech di jae
bana raha hun main jo kaenat kaghaz par
main likh raha tha teri KHwab-gah ki yaaden
ki so gaya tha wahin rakh ke hath kaghaz par
Ghazal
Dikhai dengi sabhi mumkinat kaghaz par
Sajjad Baluch