dikhai denge jo gul mez par qarine se
hawaen chheDengi aa kar khule dariche se
KHala mein aaj sakun apna DhunDhta hai wahi
bahal gaya tha jo bachcha kabhi khilaune se
tumhaare dil mein hai ek karb sa kisi ke liye
ye baat hum ne paDhi hai tumhaare chehre se
jale dil to yaqinan labon pe hogi karah
dhuan to phailega jangal mein aag lagne se
faza mein surat-e-shahin buland ho kar dekh
dikhai denge ye unche daraKHt chhoTe se
sunai di hai kahin kya KHizan ke panon ki chap
ki phul aaj hain gulshan mein sahme sahme se
chalo ki puchhen kisi soKHta-jigar se ye baat
gurez hota hai kab aadmi ko jine se
wafa na TuTne wali hai ek shai 'shaariq'
karo wafa ko na tabir kachche dhage se
Ghazal
Dikhai denge jo gul mez par qarine se
Shariq Jamal