اردو हिंदी
Dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh | Shaahi Shayari
dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh

Ghazal

Dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh

Abdul Ahad Saaz

;

dikhai dene ke aur dikhai na dene ke darmiyan sa kuchh
KHayal ki la-makaniyon mein ubhar raha hai makan sa kuchh

koi tayyun koi tayaqqun nazar ko mahdud rakh sake jo
falak se niche bahut hi niche bana hai ek saeban sa kuchh

numu ka tufan tha aafrinash ki zad pe hum tum khaDe the donon
tumhein bhi kuchh yaad aae shayad mujhe to aata hai dhyan sa kuchh

hawaen wabastagi se pur hain faza pe maujudgi hai tari
nawah-e-jaan mein lahak raha hai base-basae jahan sa kuchh

kahin ye manzar mein qaid lamhe kahin ye lamhon mein qaid manzar
rasai ki aazmaishon mein rihai ka imtihan sa kuchh

andhere kaghaz ki wusaton mein kahin kahin raushni ke dhabbe
ye sai-e-tajsim-e-na-bayani ye ishtibah-e-bayan sa kuchh