dikhaegi asar dil ki pukar aahista aahista
bajengge aap ke dil ke bhi tar aahista aahista
nikalta hai shagafon se ghubar aahista aahista
thamegi aankh se ashkon ki dhaar aahista aahista
rahi mashq-e-sitam jari agar kuchh din janab aise
milenge KHak mein sab jaan-nisar aahista aahista
muqaddar us ka murjhana hi to hai baad khilne ke
kali par ya-KHuda aae nikhaar aahista aahista
bana hai nazim-e-gulshan koi sayyaad ab shayad
parinde ho rahe hain sab farar aahista aahista
mohabbat ke marizon ka mudawa hai zara mushkil
utarta hai 'sada' un ka buKHar aahista aahista
Ghazal
Dikhaegi asar dil ki pukar aahista aahista
Sada Ambalvi